|
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain |
Saturday, June 14, 2008 |
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hai Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hai Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri. Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.
[Source: You all know] |
posted by Rohit Srivastwa @ 4:50 AM |
|
|
|
About Me |
Name: Rohit Srivastwa
Home: Chandipur, Balasore, Orissa, India
About Me:
See my complete profile
|
Archives |
|
Powered by |
|
|